Udhar Jo ShaKHs Bhi Aaya Use Jawab Hua

udhar jo shaKHs bhi aaya use jawab hua

koi nahin jo mohabbat mein kaamyab hua

wo KHush-nasib hain jin ko KHuda ki zat mili

hamein ek aadmi mushkil se dastiyab hua

bil-aKHir aag dhuan ho gai mohabbat ki

kisi ke sath jo dekha tha KHwab KHwab hua

tumhaare samne kis ko majal bolne ki

tumhaare samne har shaKHs la-jawab hua

hamare samne bachche zaban-daraaz hue

hamare samne zarra bhi aaftab hua

mere asason mein KHwab aur hasraten niklin

'kabir' ishq mein mera bhi ehtisab hua

'kabir' ho gae barbaad hum ko hona tha

tumhein ye puchhe koi tum ko kya sawab hua

(933) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Udhar Jo ShaKHs Bhi Aaya Use Jawab Hua In English By Famous Poet Inam Kabeer. Udhar Jo ShaKHs Bhi Aaya Use Jawab Hua is written by Inam Kabeer. Read famous Poem Udhar Jo ShaKHs Bhi Aaya Use Jawab Hua for youth and Student by Inam Kabeer. Free Download Udhar Jo ShaKHs Bhi Aaya Use Jawab Hua in PDF.