Apni Hi Rawani Mein Bahta Nazar Aata Hai

apni hi rawani mein bahta nazar aata hai

ye shahr bulandi se dariya nazar aata hai

deta hai koi apne daman ki hawa us ko

shoala sa mere dil mein jalta nazar aata hai

us hath ka tohfa tha ek dagh mere dil par

wo dagh bhi ab lekin jata nazar aata hai

aankhon ke muqabil hai kaisa ye ajab manzar

sahra to nahin lekin sahra nazar aata hai

ek shakl si banti hai har shab meri nindon mein

ek phul sa KHwabon mein khilta nazar aata hai

aankhon ne nahin dekhi us jism ki ranai

ye chaar taraf jis ka saya nazar aata hai

dariya ko kinare se kya dekhte rahte ho

andar se kabhi dekho kaisa nazar aata hai

phir zau mein 'nadim' apni kuchh kam hai sitara wo

ye raat ka aaina dhundla nazar aata hai

(717) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apni Hi Rawani Mein Bahta Nazar Aata Hai In English By Famous Poet Inam Nadeem. Apni Hi Rawani Mein Bahta Nazar Aata Hai is written by Inam Nadeem. Read famous Poem Apni Hi Rawani Mein Bahta Nazar Aata Hai for youth and Student by Inam Nadeem. Free Download Apni Hi Rawani Mein Bahta Nazar Aata Hai in PDF.