Aasmanon Se Na Utrega Sahifa Koi

aasmanon se na utrega sahifa koi

ai zamin DhunD le ab apna masiha koi

phir dar-e-dil pe kisi yaad ne dastak di hai

phir baha kar mujhe le jaega dariya koi

ye to mahfil na hui maqtal-e-ehsas hua

aaina de ke mujhe le gaya chehra koi

kitne viran hain yaadon ke dar-o-baam na puchh

bhul kar bhi idhar aaya na parinda koi

main is aaseb-zada shahr mein kis se puchhun

kyun mere pichhe laga rahta hai saya koi

mangta hai mere aamal ka har rose hisab

'kaif' jo mujh mein raha karta hai mujh sa koi

(685) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aasmanon Se Na Utrega Sahifa Koi In English By Famous Poet Indr Mohan Mehta Kaif. Aasmanon Se Na Utrega Sahifa Koi is written by Indr Mohan Mehta Kaif. Read famous Poem Aasmanon Se Na Utrega Sahifa Koi for youth and Student by Indr Mohan Mehta Kaif. Free Download Aasmanon Se Na Utrega Sahifa Koi in PDF.