Kis Ko Ham-safar Samjhen Jo Bhi Sath Chalte Hain

kis ko ham-safar samjhen jo bhi sath chalte hain

aashna se lagte hain ajnabi nikalte hain

ai meri sharik-e-gham kash tu samajh sakti

kitne an-bahe aansu qahqahon mein Dhalte hain

raat ki KHamoshi mein jab koi nahin hota

dil se biti yaadon ke qafile nikalte hain

tah-ba-tah andheron tak raushni to phailegi

ek raat ki zid mein sau charagh chalte hain

manzilon ke dhoke mein sathiyo na ruk jaana

manzilon se aage bhi raste nikalte hain

(618) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kis Ko Ham-safar Samjhen Jo Bhi Sath Chalte Hain In English By Famous Poet Indr Mohan Mehta Kaif. Kis Ko Ham-safar Samjhen Jo Bhi Sath Chalte Hain is written by Indr Mohan Mehta Kaif. Read famous Poem Kis Ko Ham-safar Samjhen Jo Bhi Sath Chalte Hain for youth and Student by Indr Mohan Mehta Kaif. Free Download Kis Ko Ham-safar Samjhen Jo Bhi Sath Chalte Hain in PDF.