Pani MiT Kar Bhi Rah Gaya Pani

pani miT kar bhi rah gaya pani

hue kya baat kah gaya pani

kaT gaya bund bund mein patthar

choT patthar ki sah gaya pani

KHwab bhi barf ke gharaunde the

jab khuli aankh rah gaya pani

shor kitna kiya tha lahron ne

ek tufan mein bah gaha pani

zindagi nam hai rawani ka

jate jate ye kah gaya pani

hum nazaron ko dekhte hi rahe

pul ke niche se bah gaya pani

(646) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Pani MiT Kar Bhi Rah Gaya Pani In English By Famous Poet Indr Mohan Mehta Kaif. Pani MiT Kar Bhi Rah Gaya Pani is written by Indr Mohan Mehta Kaif. Read famous Poem Pani MiT Kar Bhi Rah Gaya Pani for youth and Student by Indr Mohan Mehta Kaif. Free Download Pani MiT Kar Bhi Rah Gaya Pani in PDF.