Faza Mein Rang Se Bikhre Hain Chandni Hui Hai

faza mein rang se bikhre hain chandni hui hai

kisi sitare ki titli se dosti hui hai

meri tamam riyazat ka ek hasil hai

wahi dua jo tere nam se juDi hui hai

main hadse se nikal aai hun magar dekho

zamin ab bhi mere jism par paDi hui hai

abhi to tu ne mera hath bhi nahin thama

ye kis KHabar se zamane mein sansani hui hai

udasi jonk hai ye KHun chus leti hai

ye baat main ne kahin aur bhi suni hui hai

main tere lams ke jadu se KHub waqif hun

wo shaKH hun jo tere hath par hari hui hai

jo aankhen senk rahe hain unhen KHabar hi nahin

yahan pe KHwab jale hain to raushni hui hai

main lal rang lagati thi nile KHwabon ko

isi liye to ye tabir kasni hui hai

wo mere bare mein kya sochta hai kya malum

KHuda se meri mulaqat sarsari hui hai

main pichhle sal ki taswir bhej deti tujhe

magar ye ek taraf se zara jali hui hai

maza to jab hai ki 'injil' hi lage sab ko

nuzul-e-ishq pe jitni bhi shairi hui hai

(865) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Faza Mein Rang Se Bikhre Hain Chandni Hui Hai In English By Famous Poet Injeel Saheefa. Faza Mein Rang Se Bikhre Hain Chandni Hui Hai is written by Injeel Saheefa. Read famous Poem Faza Mein Rang Se Bikhre Hain Chandni Hui Hai for youth and Student by Injeel Saheefa. Free Download Faza Mein Rang Se Bikhre Hain Chandni Hui Hai in PDF.