An-dekhi Zamin Par
suno
ghaur se suno
ek sogwar si dastak tumhaare dar pe kab se ho rahi hai
jaante ho
ye suiyon ki Tak Tak tumhein dhire dhire be-bas kar rahi hai
guzarne wala koi pal bhi tumhaara nahin
mahsus karo un hathon ki jumbish ko
jo tumhaari giraft se aazad ho rahe hain
kaise rok sakoge us ghaDi ko
jo mazi ko kuchal kar tumhaare mustaqbil par hans rahi ho
bahut si ummiden aur KHwab tumhaari aankhon mein jaankani ban ke Thahre gae hain
aankhen jin mein ab koi manzar nahin
wahshat zada viraniyan tumhaare bistar ke gird lipaT gai hain
is KHali aur udas faza mein
kabhi raat ki rani ki KHushbu se mahrum raat aati hai
aur kabhi koi subh aisi bhi hoti hai
jab suraj-mukhi tak suraj ki koi kiran nahin pahunchti
tab sirf
zawal ka phul khilta hai
(856) Peoples Rate This