Aane ATak ATak Ke Lagi Sans Raat Se

aane aTak aTak ke lagi sans raat se

ab hai umid sirf KHuda hi ki zat se

saqi hawa-e-sard ko tu sarsari na jaan

kaifiyyat us ki puchh nabaat-e-nabaat se

apna sanam wo qahr hai ai barhaman ki gar

dekhe manat ko to gira dewe lat se

kal se to iKHtilat mein taza hai iKHtiraa

rukne lagi hain aap meri baat baat se

pesh aaiye ba-shafqat-o-lutf us se shaiKH ji

bint-ul-anab ko jaaniye apne nabaat se

hasil kiya jo hum ne qadam-bos-e-pir-e-dair

aai sada-e-ishq dar-e-somnat se

hain wajib-ul-wajud ke anwar ishq mein

us ki sifat-e-zat nahin mumkinat se

ashaar-e-taba-zad meri sun ke shoKH wo

kahne laga ki faeda is mohmalat se

mutlaq mila ke aankh idhar dekhte nahin

aate nazar ho aaj bhi kam iltifat se

'insha' ne aa laga hi liya tum ko baat mein

zalim wo cukta hai koi apni ghat se

(845) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aane ATak ATak Ke Lagi Sans Raat Se In English By Famous Poet Insha Allah Khan 'Insha'. Aane ATak ATak Ke Lagi Sans Raat Se is written by Insha Allah Khan 'Insha'. Read famous Poem Aane ATak ATak Ke Lagi Sans Raat Se for youth and Student by Insha Allah Khan 'Insha'. Free Download Aane ATak ATak Ke Lagi Sans Raat Se in PDF.