Bandagi Humne To Ji Se Apni Thani Aap Ki

bandagi hum ne to ji se apni Thani aap ki

banda-parwar KHair aage qadr-dani aap ki

thi jo wo lahi ki Topi zafrani aap ki

so hamare pas hai ab tak nishani aap ki

dam-ba-dam kah baiThna bas jao apni un ke pas

kyun nahin jati wo ab tak bad-gumani aap ki

kya kahun mare KHushi ke haal mera kya hua

aamad aamad jo hui kal na-gahani aap ki

hai kisi se aaj wada kuchh aji KHali nahin

ye dhaDe missi ki honTon par jamani aap ki

hum ne sau raaten jagain tab hua ye ittifaq

so usi din ko dhari thi nind aani aap ki

mere haq mein ab jo ye irshad farmaya ki hai

KHub yan manqush-KHatir jaan-fishani aap ki

lek main oDhun bichhaun ya lapeTun kya karun

rukhi phiki aisi sukhi mehrbani aap ki

kyun na ishq-allah bolun hazrat-e-dil aap ko

peshwaon ne bhi apni aan mani aap ki

did kar Dala bas un se aalam-e-lahut sabt

jis ne lagdi bank ki safi mein chhani aap ki

apni aankhon mein paDi phirti hai ab tak roz-o-shab

arsh par data wahi surat dikhani aap ki

ai junun ustad bas KHam Thonk kar aa jaiye

han KHalifa hum bhi dekhen pahalwani aap ki

sadqa sadqa kyun na ho jaun bhala ghash kha ke main

dekh gadrai hui uThti jawani aap ki

sabza-aghazi so ye kuchh tispe aafat sadgi

qahr phir us baat par gardan hilani aap ki

apni aankhon mein tarawaT aa gai yak-bargi

dekh kar ye lahlahe poshak dhani aap ki

kyun na laDki sab kahen hawwa tumhein ai shaiKH jiyu

hai jamuKHi ki si surat ye Darani aap ki

gol pagDi nili lungi munchh munDi takiya rish

phir wo rumal aur wo aaKH-thu nasdani aap ki

do gulabi la ke saqi ne kaha 'insha' ko raat

zafrani mera hissa arghawani aap ki

(797) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bandagi Humne To Ji Se Apni Thani Aap Ki In English By Famous Poet Insha Allah Khan 'Insha'. Bandagi Humne To Ji Se Apni Thani Aap Ki is written by Insha Allah Khan 'Insha'. Read famous Poem Bandagi Humne To Ji Se Apni Thani Aap Ki for youth and Student by Insha Allah Khan 'Insha'. Free Download Bandagi Humne To Ji Se Apni Thani Aap Ki in PDF.