Kaun Sa Gham Hai Mere Dil Mein Jo Mehman Nahin
kaun sa gham hai mere dil mein jo mehman nahin
mujh pe kam ye bhi mere yaron ka ehsan nahin
tisha-e-waqt ne har naqsh badal Dala hai
kal ki taswir meri aaj ki pahchan nahin
kam nahin mahr-e-daraKHshan se mera dagh-e-jigar
matla-e-subh se kam mera gireban nahin
shahr-e-be-mehr mein tu zaKHm dikhata hai kise
tera pursan koi yan ai dil-e-nadan nahin
aao mil baiTh ke hum banT len bar-e-gham-e-dil
faeda sab ka hai is mein koi nuqsan nahin
dil mein dar aae mere har koi dukh-dard samet
is mein wusat bhi hai aur dar pe bhi darban nahin
ru-ba-ru aaine ke main hun nazar wo aae
ho bhi sakta hai ye hona magar aasan nahin
dil mein gar fikr-e-kam-o-besh na howe 'shahid'
toda-e-KHak kam-az taKHt-e-sulaiman nahin
(750) Peoples Rate This