Hara-bhara Tha Chaman Mein Shajar Akela Tha

hara-bhara tha chaman mein shajar akela tha

shajar pe barg bahut the samar akela tha

baqa-e-nur falak par bhi ho gai mushkil

umaD rahi thin ghaTaen qamar akela tha

yahi to ek tamasha pas-e-tamasha tha

tamash-bin the bahut dida-war akela tha

rafaqaton se ye tanhai kam nahin hoti

sharik-e-bazm to tha main magar akela tha

gunah-e-ishq ki kaisi saza mili hum ko

ki sang-bar zyaada the sar akela tha

kiya tha hum ne safar sath sath yun 'alam'

ki main akela mera ham-safar akela tha

(732) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hara-bhara Tha Chaman Mein Shajar Akela Tha In English By Famous Poet Intikhab Alam. Hara-bhara Tha Chaman Mein Shajar Akela Tha is written by Intikhab Alam. Read famous Poem Hara-bhara Tha Chaman Mein Shajar Akela Tha for youth and Student by Intikhab Alam. Free Download Hara-bhara Tha Chaman Mein Shajar Akela Tha in PDF.