Dur Tak Bas KHun Ke Thahre Hue Dariya Mile

dur tak bas KHun ke Thahre hue dariya mile

muddaton jagi hui aankhon ko dekha ro paDe

ehtiraman zindagi ko munh lagana hi paDa

warna hum aur zindagi ka zahr tauba kijiye

apne kandhon par liye apni kai shaKHsiyyaten

raat bhar aankhon ke jangal mein bhaTakte hi rahe

chiKHte chillate andeshon ki aankhen surKH hain

jism ki na-puKHta saDkon se guzarna chhoDiye

KHun ke dhabbon ki sachchai Daraati hi rahi

apne bare mein kabhi socha to ghabrane lage

TuTe phuTe kale shabdon ke bhare bazar mein

is qadar KHud ko ghumaya hai ki kale paD gae

(941) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dur Tak Bas KHun Ke Thahre Hue Dariya Mile In English By Famous Poet Intikhab Syed. Dur Tak Bas KHun Ke Thahre Hue Dariya Mile is written by Intikhab Syed. Read famous Poem Dur Tak Bas KHun Ke Thahre Hue Dariya Mile for youth and Student by Intikhab Syed. Free Download Dur Tak Bas KHun Ke Thahre Hue Dariya Mile in PDF.