Na Puchho Dosto Main Kis Tarah Hansta Hansata Hun

na puchho dosto main kis tarah hansta hansata hun

tawajjoh yaad rakhta hun taghaful bhul jata hun

mujhe to yaad hai main aaj tak bhula nahin tujh ko

bata bhule se tujh ko bhi kabhi main yaad aata hun

agar mazi bhula baiThe to apna haal kya hoga

kahani raat bhar ahl-e-chaman ko main sunata hun

ye kya kam hai ki mere dil mein pinhan daulat-e-gham hai

main akasr apni palkon ko sitaron se sajata hun

dil-e-wahshat-zada ka 'intizar' ab to ye aalam hai

ki KHud apna nasheman apne hathon se jalata hun

(688) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Puchho Dosto Main Kis Tarah Hansta Hansata Hun In English By Famous Poet Intizar Ghazipuri. Na Puchho Dosto Main Kis Tarah Hansta Hansata Hun is written by Intizar Ghazipuri. Read famous Poem Na Puchho Dosto Main Kis Tarah Hansta Hansata Hun for youth and Student by Intizar Ghazipuri. Free Download Na Puchho Dosto Main Kis Tarah Hansta Hansata Hun in PDF.