Barg Thahre Na Jab Samar Thahre

barg Thahre na jab samar Thahre

aise mausam pe kya nazar Thahre

ahd-e-kam-maya ki nigahon mein

kaghzi phul mo'atabar Thahre

jin ko dawa tha be-karani ka

wo samundar bhi bund-bar Thahre

wo gaya bhi to us ki yaadon ke

kitne mehman mere ghar Thahre

koi apne liye bhi Thahrega

hum kisi ke liye agar Thahre

hum khare the damak uThe warna

kis mein himmat ki aag par Thahre

maut hai justuju musafir ki

ek lamha jo be-KHabar Thahre

puchh un se hai saKHt-jaani kya

aandhiyon mein bhi jo shajar Thahre

KHush ho duniya ki hum teri KHatir

bazm-e-yaran mein be-hunar Thahre

jin se 'asif' hamein tawaqqoa thi

rabte wo bhi muKHtasar Thahre

(667) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Barg Thahre Na Jab Samar Thahre In English By Famous Poet Iqbal Asif. Barg Thahre Na Jab Samar Thahre is written by Iqbal Asif. Read famous Poem Barg Thahre Na Jab Samar Thahre for youth and Student by Iqbal Asif. Free Download Barg Thahre Na Jab Samar Thahre in PDF.