Zahr Ke GhunT Bhi Hans Hans Ke Piye Jate Hain

zahr ke ghunT bhi hans hans ke piye jate hain

hum bahar-haal saliqe se jiye jate hain

ek din hum bhi bahut yaad kiye jaenge

chand afsane zamane ko diye jate hain

hum ko duniya se mohabbat bhi bahut hai lekin

lakh ilzam bhi duniya ko diye jate hain

bazm-e-aghyar sahi az-rah-e-tanqid sahi

shukr hai hum bhi kahin yaad kiye jate hain

hum kiye jate hain taqlid-e-riwayat-e-junun

aur KHud chaak-e-gireban bhi siye jate hain

gham ne baKHshi hai ye mohtat-mizaji hum ko

zaKHm bhi khate hain aansu bhi piye jate hain

haal ka Thik hai 'iqbaal' na farda ka yaqin

jaane kya baat hai hum phir bhi jiye jate hain

(1522) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zahr Ke GhunT Bhi Hans Hans Ke Piye Jate Hain In English By Famous Poet Iqbal Azeem. Zahr Ke GhunT Bhi Hans Hans Ke Piye Jate Hain is written by Iqbal Azeem. Read famous Poem Zahr Ke GhunT Bhi Hans Hans Ke Piye Jate Hain for youth and Student by Iqbal Azeem. Free Download Zahr Ke GhunT Bhi Hans Hans Ke Piye Jate Hain in PDF.