Bujh Gai Dil Ki Kiran Aaina-e-jaan TuTa

bujh gai dil ki kiran aaina-e-jaan TuTa

par-e-parwaz sameTe to lahu sa phuTa

rasm-e-ashufta-sari mein hain gareban daman

falak-e-pir bata kaun hai sachcha jhuTa

chand suraj hue jate hain dhuen mein ru-posh

jaras-e-waqt kahan aag ka chashma phuTa

marsiyon aur qasidon se bhari hai mahfil

shahr-ashob se har rishta-e-danish TuTa

shajar-e-dard ki har shaKH hai kashkol-numa

sar-kashida hai magar bagh ka buTa buTa

wahi kaifiyyat-e-chashm-o-dil-o-jaan hai 'iqbaal'

na koi rabt bana aur na rishta TuTa

(577) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bujh Gai Dil Ki Kiran Aaina-e-jaan TuTa In English By Famous Poet Iqbal Haider. Bujh Gai Dil Ki Kiran Aaina-e-jaan TuTa is written by Iqbal Haider. Read famous Poem Bujh Gai Dil Ki Kiran Aaina-e-jaan TuTa for youth and Student by Iqbal Haider. Free Download Bujh Gai Dil Ki Kiran Aaina-e-jaan TuTa in PDF.