Samundar Ke Kinare Ek Samundar Aadamiyon Ka

samundar ke kinare ek samundar aadamiyon ka

hamare shahr mein rahta hai lashkar aadamiyon ka

wahi sina-figari hai wahi be-e'tibari hai

badalta hi nahin hai yan muqaddar aadamiyon ka

zamin se aasman tak chha rahi hai KHun ki surKHi

chhupa hai KHair ke parde mein bhi shar aadamiyon ka

qayamat se bahut pahle qayamat kyun na ho barpa

jhuka hai aadmi ke samne sar aadamiyon ka

faqat chehre hi ab gard-e-kudurat se nahin dhundle

dilon ka aaina bhi hai mukaddar aadamiyon ka

zamin yunhi rahi gar be-gunahon ke lahu se tar

hawa ho jaega ek din samundar aadamiyon ka

(1053) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Samundar Ke Kinare Ek Samundar Aadamiyon Ka In English By Famous Poet Iqbal Haider. Samundar Ke Kinare Ek Samundar Aadamiyon Ka is written by Iqbal Haider. Read famous Poem Samundar Ke Kinare Ek Samundar Aadamiyon Ka for youth and Student by Iqbal Haider. Free Download Samundar Ke Kinare Ek Samundar Aadamiyon Ka in PDF.