Be-kasi Par Zulm La-mahdud Hai

be-kasi par zulm la-mahdud hai

matla-e-insaf abr-alud hai

waqt ki qimat ada karne ke baad

ahd ka firaun phir masjud hai

har taraf zar ki parastish hai yahan

sunte aae the KHuda mabud hai

chaar su hai aatish o aahan ka khel

aur KHala mein shoala-o-barud hai

tabish-e-ilm-o-hunar hai be-samar

kawish-e-husn-e-amal be-sud hai

amn 'kaifi' ho nahin sakta kabhi

jab talak zulm-o-sitam maujud hai

(1092) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Be-kasi Par Zulm La-mahdud Hai In English By Famous Poet Iqbal Kaifi. Be-kasi Par Zulm La-mahdud Hai is written by Iqbal Kaifi. Read famous Poem Be-kasi Par Zulm La-mahdud Hai for youth and Student by Iqbal Kaifi. Free Download Be-kasi Par Zulm La-mahdud Hai in PDF.