Chashm-e-KHana Maqam-e-dard Ka Hai

chashm-e-KHana maqam-e-dard ka hai

har nazare pe nam dard ka hai

sarhad-e-jaan talak qalam-rau dil

is se aage nizam dard ka hai

be-talab jurat-e-huzuri kya

ashk adna ghulam dard ka hai

dam-ba-KHud tab-e-did zoam-e-suKHan

KHamushi se kalam dard ka hai

ruh ke gham-kade pe qahr-e-sukut

asar-e-intiqam dard ka hai

ek dhaDkan pe ek hashr uThaen

chup jo hain ehtiram dard ka hai

bujh gain wo ghazal aankhen bhi

jin se tabinda nam dard ka hai

KHushk aankhon se KHushk daman tak

ye safar gam gam dard ka hai

sar-e-mizhgan-e-surmagin larzan

tair-e-zer-e-dam dard ka hai

(768) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chashm-e-KHana Maqam-e-dard Ka Hai In English By Famous Poet Iqbal Khusro Qadri. Chashm-e-KHana Maqam-e-dard Ka Hai is written by Iqbal Khusro Qadri. Read famous Poem Chashm-e-KHana Maqam-e-dard Ka Hai for youth and Student by Iqbal Khusro Qadri. Free Download Chashm-e-KHana Maqam-e-dard Ka Hai in PDF.