Ahl-e-fan Ahl-e-adab Ahl-e-qalam Kahte Rahe

ahl-e-fan ahl-e-adab ahl-e-qalam kahte rahe

bad-zaban ko hum zaban-dan-e-ajam kahte rahe

jabr-o-istibdad ko jud-o-karam kahte rahe

sabr-o-taat ko ilaj-e-dard-o-gham kahte rahe

hum ko har mahfil mein tha aadab-e-mahfil ka KHayal

ehtiraman har kisi ko mohtaram kahte rahe

chashm-poshi se riya-kari ko shah milti rahi

aib-poshi ko sharafat ka bharam kahte rahe

aarzu-e-mazhab-o-millat bhi rakhni thi zarur

nang-e-mimbar ko bhi hum shaiKH-e-haram kahte rahe

wo bhi nikle rahnumaon ke nuqush-e-kajrawi

jin ko rahi raste ke pech-o-KHam kahte rahe

barha dekha hai 'mahir' un ko maghmum-o-malul

hum jinhen parwurda-e-naz-o-niam karte rahe

(801) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ahl-e-fan Ahl-e-adab Ahl-e-qalam Kahte Rahe In English By Famous Poet Iqbal Mahir. Ahl-e-fan Ahl-e-adab Ahl-e-qalam Kahte Rahe is written by Iqbal Mahir. Read famous Poem Ahl-e-fan Ahl-e-adab Ahl-e-qalam Kahte Rahe for youth and Student by Iqbal Mahir. Free Download Ahl-e-fan Ahl-e-adab Ahl-e-qalam Kahte Rahe in PDF.