Nazar Nazar Mein Tamanna Qadam Qadam Pe Gurez

nazar nazar mein tamanna qadam qadam pe gurez

jahan jahan bhi mile kohkan wahin parwez

ghaTa ghaTa sa dhundlaka hai qasr-o-aiwan mein

nikal chalo jahan maidan mein raushni hai tez

tere karam pe bhi andesha-ha-e-dur-o-daraaz

mile hain jam-o-subu wo bhi zahr se labrez

numud-e-KHar-e-mughilan hai baghban ko pasand

zamin-e-lala-o-gul warna hai bahut zarKHez

sukun mila hai kanizon ko KHwab-e-shirin ka

jo kohkan ne sambhaali hai daulat-e-parwez

taghayyuraat-e-KHayalat irtiqa-e-hayat

tasadum-e-nazariyat fitna-e-changez

guzar rahe hain shab-o-roz is tarah 'mahir'

na zindagi se mohabbat na zindagi se gurez

(1043) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nazar Nazar Mein Tamanna Qadam Qadam Pe Gurez In English By Famous Poet Iqbal Mahir. Nazar Nazar Mein Tamanna Qadam Qadam Pe Gurez is written by Iqbal Mahir. Read famous Poem Nazar Nazar Mein Tamanna Qadam Qadam Pe Gurez for youth and Student by Iqbal Mahir. Free Download Nazar Nazar Mein Tamanna Qadam Qadam Pe Gurez in PDF.