Usko Naghmon Mein SameTun To Buka Jaane Hai

us ko naghmon mein sameTun to buka jaane hai

girya-e-shab ko jo naghme ki sada jaane hai

main teri aankhon mein apne liye kya kya DhunDun

tu mere dard ko kuchh mujh se siwa jaane hai

us ko rahne do mere zaKHmon ka marham ban kar

KHun-e-dil ko jo mere rang-e-hina jaane hai

meri mahrumi-e-furqat se use kya lena

wo to aahon ko bhi manind-e-saba jaane hai

ek hi din mein tere shahr ki masmum faza

mere pairahan-e-sada ko riya jaane hai

main kabhi tere dariche mein khila phul bhi tha

aaj kya hun tere gulshan ki hawa jaane hai

mujh se kahta hai mera shoKH ki iqbaal-'matin'

tum rahe raat kahan ye to KHuda jaane hai

(679) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Usko Naghmon Mein SameTun To Buka Jaane Hai In English By Famous Poet Iqbal Mateen. Usko Naghmon Mein SameTun To Buka Jaane Hai is written by Iqbal Mateen. Read famous Poem Usko Naghmon Mein SameTun To Buka Jaane Hai for youth and Student by Iqbal Mateen. Free Download Usko Naghmon Mein SameTun To Buka Jaane Hai in PDF.