Agarche Par Kaghaz Ki Kabhi Kashti Nahin Jati

agarche par kaghaz ki kabhi kashti nahin jati

magar apni ye majburi ki KHush-fahmi nahin jati

KHuda jaane gireban kis ke hain aur hath kis ke hain

andhere mein kisi ki shakl pahchani nahin jati

meri KHwahish hai duniya ko bhi apne sath le aaun

bulandi ki taraf lekin kabhi pasti nahin jati

KHayalon mein hamesha us ghazal ko gungunata hun

ki jo kaghaz ke chehre par kabhi likkhi nahin jati

wahi raste wahi raunaq wahi hain aam se chehre

'nawed' aankhon ki lekin phir bhi hairani nahin jati

(733) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Agarche Par Kaghaz Ki Kabhi Kashti Nahin Jati In English By Famous Poet Iqbal Naved. Agarche Par Kaghaz Ki Kabhi Kashti Nahin Jati is written by Iqbal Naved. Read famous Poem Agarche Par Kaghaz Ki Kabhi Kashti Nahin Jati for youth and Student by Iqbal Naved. Free Download Agarche Par Kaghaz Ki Kabhi Kashti Nahin Jati in PDF.