Jis Ka Chehra Gulab Jaisa Hai

jis ka chehra gulab jaisa hai

us ka milna to KHwab jaisa hai

baat karta hun is liye un ki

baat karna sawab jaisa hai

mera jina teri judai mein

ek musalsal azab jaisa hai

nashsha us ki nashili aankhon ka

sab se achchhi sharab jaisa hai

haal us ka bhi aaj-kal yaro

dil-e-KHana-KHarab jaisa hai

ai 'payam' in ki chahaton ka payam

chahaton ki kitab jaisa hai

(1332) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jis Ka Chehra Gulab Jaisa Hai In English By Famous Poet Iqbal Payam. Jis Ka Chehra Gulab Jaisa Hai is written by Iqbal Payam. Read famous Poem Jis Ka Chehra Gulab Jaisa Hai for youth and Student by Iqbal Payam. Free Download Jis Ka Chehra Gulab Jaisa Hai in PDF.