Aise Ghar Mein Rah Raha Hun Dekh Le Be-shak Koi

aise ghar mein rah raha hun dekh le be-shak koi

jis ke darwaze ki qismat mein nahin dastak koi

yun to hone ko sabhi kuchh hai mere dil mein magar

is dukan par aaj tak aaya nahin gahak koi

wo KHuda ki khoj mein KHud aaKHiri had tak gaya

KHud ko pane ki magar koshish na ki anthak koi

bagh mein kal raat phulon ki haweli luT gai

chashm-e-shabnam se chura kar le gaya ThanDak koi

de gaya aankhon ko farsh-e-rah banne ka sila

de gaya binai ko saughat mein dimak koi

ek bhi KHwahish ke hathon mein na mehndi lag saki

mere jazbon mein na dulha ban saka ab tak koi

wo bhi 'sajid' tha mere jazbon ki chori mein sharik

us ki jaanib kyun nahin uTThi nigah-e-shak koi

(1091) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aise Ghar Mein Rah Raha Hun Dekh Le Be-shak Koi In English By Famous Poet Iqbal Sajid. Aise Ghar Mein Rah Raha Hun Dekh Le Be-shak Koi is written by Iqbal Sajid. Read famous Poem Aise Ghar Mein Rah Raha Hun Dekh Le Be-shak Koi for youth and Student by Iqbal Sajid. Free Download Aise Ghar Mein Rah Raha Hun Dekh Le Be-shak Koi in PDF.