Jaane Kyun Ghar Mein Mere Dasht-o-bayaban ChhoD Kar

jaane kyun ghar mein mere dasht-o-bayaban chhoD kar

baiThti hain be-sar-o-samaniyan sar joD kar

kitni nazren kitni aasen kitni aawazen yahan

lauT jati hain dar-o-diwar se sar phoD kar

jaane kis ki khoj mein paiham bagule aaj kal

phir rahe hain shahr ki galiyon mein sahra chhoD kar

mujh pe patthar phenkne walon ko tere shahr mein

narm-o-nazuk hath bhi dete hain patthar toD kar

bas raha hun aaj us mahaul mein 'sajid' jahan

log baraaton mein jate hain janaze chhoD kar

(855) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jaane Kyun Ghar Mein Mere Dasht-o-bayaban ChhoD Kar In English By Famous Poet Iqbal Sajid. Jaane Kyun Ghar Mein Mere Dasht-o-bayaban ChhoD Kar is written by Iqbal Sajid. Read famous Poem Jaane Kyun Ghar Mein Mere Dasht-o-bayaban ChhoD Kar for youth and Student by Iqbal Sajid. Free Download Jaane Kyun Ghar Mein Mere Dasht-o-bayaban ChhoD Kar in PDF.