KHuda Ne Jis Ko Chaha Usne Bachche Ki Tarah Zid Ki

KHuda ne jis ko chaha us ne bachche ki tarah zid ki

KHuda baKHshish karega is liye iqbaal-'sajid' ki

gawahi dega ek din KHud mera munsif mere haq mein

dhari rah jaengi sari dalilen mere hasid ki

wahi jo pahle aaya tha wo sab ke baad bhi aaya

usi paikar ne to pahchan karwai hai mujid ki

jo mere dil mein thi us ne wahi tahrir pahunchai

ab us se baDh ke kya tarif ho sakti hai qasid ki

jo andar se nahin bahar se KHad-o-KHal manwae

par asal-e-aina surat ganwa deta hai qasid ki

hawale se jo manwae wo sachchai nahin hoti

qasam khata nahin hun is liye main rabb-e-wahid ki

(1172) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHuda Ne Jis Ko Chaha Usne Bachche Ki Tarah Zid Ki In English By Famous Poet Iqbal Sajid. KHuda Ne Jis Ko Chaha Usne Bachche Ki Tarah Zid Ki is written by Iqbal Sajid. Read famous Poem KHuda Ne Jis Ko Chaha Usne Bachche Ki Tarah Zid Ki for youth and Student by Iqbal Sajid. Free Download KHuda Ne Jis Ko Chaha Usne Bachche Ki Tarah Zid Ki in PDF.