Har Baat Jo Na Hona Thi Aisi Hui Ki Bas

har baat jo na hona thi aisi hui ki bas

kuchh aur chahiye tujhe ai zindagi ki bas

jo din nahin guzarna the wo bhi guzar gae

duniya hai hum hain aur hai wo bebasi ki bas

jin par nisar naqd-e-sukun naqd-e-jaan kiya

un se mile to aisi nadamat hui ki bas

main jis ko dekhta tha uchaTti nigah se

un ki nigah mujh pe kuchh aisi paDi ki bas

manzil samajh ke dar pe main to na ruk saka

KHud mujh se meri zindagi kahti rahi ki bas

wo masale hayat ke jo masale nahin

un masalon se uljha hai yun aadmi ki bas

pahuncha jahan bhi log ye kahte hue mile

tahzib apne shahr ki aisi miTi ki bas

duniya gharib jaan ke hansti thi 'mir' par

'iqbaal' mujh pe aise ye duniya hansi ki bas

(846) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Baat Jo Na Hona Thi Aisi Hui Ki Bas In English By Famous Poet Iqbal Umar. Har Baat Jo Na Hona Thi Aisi Hui Ki Bas is written by Iqbal Umar. Read famous Poem Har Baat Jo Na Hona Thi Aisi Hui Ki Bas for youth and Student by Iqbal Umar. Free Download Har Baat Jo Na Hona Thi Aisi Hui Ki Bas in PDF.