Ajab Hai Rang-e-chaman Ja-ba-ja Udasi Hai

ajab hai rang-e-chaman ja-ba-ja udasi hai

mahak udasi hai baad-e-saba udasi hai

nahin nahin ye bhala kis ne kah diya tum se

mein Thik-Thak hun han bas zara udasi hai

main mubtala kabhi hota nahin udasi mein

main wo hun jis mein ki KHud mubtala udasi hai

tabib ne koi tafsil to batai nahin

bahut jo puchha to itna kaha udasi hai

gudaz qalb KHushi se bhala kisi ko mila

azim wasf hi insan ka udasi hai

shadid dard ki ru hai rawan rag-e-jaan mein

bala ka ranj hai be-intiha udasi hai

firaq mein bhi udasi baDe kamal ki thi

pas-e-visal to is se siwa udasi hai

tumhein mile jo KHazane tumhein mubarak hon

meri kamai to ye be-baha udasi hai

chhupa rahi ho magar chhup nahin rahi meri jaan

jhalak rahi hai jo zer-e-qaba udasi hai

mujhe masail-e-kaun-o-makan se kya matlab

mera to sab se baDa masala udasi hai

falak hai sar pe udasi ki tarah phaila hua

zamin nahin hai mere zer-e-pa udasi hai

ghazal ke bhes mein aai hai aaj mahram-e-dard

suKHan ki oDhe hue hai rida udasi hai

ajib tarah ki haalat hai meri be-ahwal

ajib tarah ki be majra udasi hai

wo kaif-e-hijr mein ab ghaaliban sharik nahin

kai dinon se bahut be-maza udasi hai

wo kah rahe the ki shair ghazab ka hai 'irfan'

har ek sher mein kya gham hai kya udasi hai

(1254) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ajab Hai Rang-e-chaman Ja-ba-ja Udasi Hai In English By Famous Poet Irfan Sattar. Ajab Hai Rang-e-chaman Ja-ba-ja Udasi Hai is written by Irfan Sattar. Read famous Poem Ajab Hai Rang-e-chaman Ja-ba-ja Udasi Hai for youth and Student by Irfan Sattar. Free Download Ajab Hai Rang-e-chaman Ja-ba-ja Udasi Hai in PDF.