Kahan Na-jaane Chala Gaya Intizar Kar Ke

kahan na-jaane chala gaya intizar kar ke

yahan bhi hota tha ek mausam-e-bahaar kar ke

jo hum pe aisa na kar-e-duniya ka jabr hota

to hum bhi rahte yahan junun iKHtiyar kar ke

na-jaane kis samt ja basi baad-e-yaad-parwar

hamare atraf KHushbuon ka hisar kar ke

kaTengi kis din madar-o-mehwar ki ye tanaben

ki thak gae hum hisab-e-lail-o-nahaar kar ke

teri haqiqat-pasand duniya mein aa base hain

hum apne KHwabon ki sari raunaq nisar kar ke

ye dil to sine mein kis qarine se gunjta tha

ajib hangama kar diya be-qarar kar ke

har ek manzar har ek KHalwat ganwa chuke hain

hum ek mahfil ki yaad par inhisar kar ke

tamam lamhe wazahaton mein guzar gae hain

hamari aankhon mein ek suKHan ko ghubar kar ke

ye ab khula hai ki us mein moti bhi DhunDte the

ki hum to bas aa gae hain dariya ko par kar ke

ba-qadr-e-KHwab-e-talab lahu hai na zindagi hai

ada karoge kahan se itna udhaar kar ke

(1225) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahan Na-jaane Chala Gaya Intizar Kar Ke In English By Famous Poet Irfan Sattar. Kahan Na-jaane Chala Gaya Intizar Kar Ke is written by Irfan Sattar. Read famous Poem Kahan Na-jaane Chala Gaya Intizar Kar Ke for youth and Student by Irfan Sattar. Free Download Kahan Na-jaane Chala Gaya Intizar Kar Ke in PDF.