Kahe Deta Hun, Go Hai To Nahin Ye Baat Kahne Ki

kahe deta hun, go hai to nahin ye baat kahne ki

teri KHwahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki

bacha kar dil guzarta ja raha hun har talluq se

kahan is aable ko tab hai ab choT sahne ki

rag-o-pai mein na hangama kare to kya kare aaKHir

ijazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki

bas apni apni tarjihat, apni apni KHwahish hai

tujhe shohrat kamane ki, mujhe ek sher kahne ki

jahan ka hun, wahin ki ras aaegi faza mujh ko

ye duniya bhi bhala koi jagah hai mere rahne ki?

jo kal 'irfan' par guzri suna kuchh us ke bare mein?

KHabar tum ne suni tufan mein dariya ke bahne ki

(677) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahe Deta Hun, Go Hai To Nahin Ye Baat Kahne Ki In English By Famous Poet Irfan Sattar. Kahe Deta Hun, Go Hai To Nahin Ye Baat Kahne Ki is written by Irfan Sattar. Read famous Poem Kahe Deta Hun, Go Hai To Nahin Ye Baat Kahne Ki for youth and Student by Irfan Sattar. Free Download Kahe Deta Hun, Go Hai To Nahin Ye Baat Kahne Ki in PDF.