Kis Ajab Saat-e-nayab Mein Aaya Hua Hun

kis ajab saat-e-nayab mein aaya hua hun

tujh se milne main tere KHwab mein aaya hua hun

phir wahi main hun, wahi hijr ka dariya-e-amiq

koi dam aks-e-sar-e-ab mein aaya hua hun

kaise aaine ke manind chamakta hua main

ishq ke shahr-e-abad-tab mein aaya hua hun

meri har tan hai az-roz-e-azal ta-ba-abad

ek sur ke liye mizrab mein aaya hua hun

koi parchhain kabhi jism se karti hai kalam?

be-sabab saya-e-mahtab mein aaya hua hun

har guzarte hue lamhe mein Tapakta hua mein

dard hun, waqt ke aasab mein aaya hua hun

kaisi gahrai se nikla hun adam ki 'irfan'

kaise payab se talab mein aaya hua hun

(828) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kis Ajab Saat-e-nayab Mein Aaya Hua Hun In English By Famous Poet Irfan Sattar. Kis Ajab Saat-e-nayab Mein Aaya Hua Hun is written by Irfan Sattar. Read famous Poem Kis Ajab Saat-e-nayab Mein Aaya Hua Hun for youth and Student by Irfan Sattar. Free Download Kis Ajab Saat-e-nayab Mein Aaya Hua Hun in PDF.