Kya Bataun Ki Jo Hangama Bapa Hai Mujh Mein

kya bataun ki jo hangama bapa hai mujh mein

in dinon koi bahut saKHt KHafa hai mujh mein

us ki KHush-bu kahin atraf mein phaili hui hai

subh se raqs-kunan baad-e-saba hai mujh mein

teri surat mein tujhe DhunD raha hun main bhi

ghaaliban tu bhi mujhe DhunD raha hai mujh mein

ek hi samt har ek KHwab chala jata hai

yaad hai ya koi naqsh-e-kaf-e-pa hai mujh mein

meri be-rah-rawi is liye sarshaar si hai

mere haq mein koi masruf-e-dua hai mujh mein

apni sanson ki kasafat se guman hota hai

koi imkan abhi KHak hua hai mujh mein

ek chubhan hai ki jo bechain kiye rahti hai

aisa lagta hai ki kuchh TuT gaya hai mujh mein

ya to main KHud hi rihai ke liye hun be-tab

ya giraftar koi mere siwa hai mujh mein

aaina is ki gawahi nahin deta to na de

wo ye kahta hai koi KHas ada hai mujh mein

ho gai dil se teri yaad bhi ruKHsat shayad

aah-o-zari ka abhi shor uTha hai mujh mein

mujh mein aabaad hain ek sath adam aur wajud

hast se bar-sar-e-paikar fana hai mujh mein

majlis-e-sham-e-ghariban hai bapa chaar pahr

mustaqil bas abhi mahaul-e-aza hai mujh mein

ho gai shaq to bil-aKHir ye ana ki diwar

apni jaanib koi darwaza khula hai mujh mein

KHun bahata hua zanjir-zani karta hua

koi pagal hai jo behaal hua hai mujh mein

us ki KHush-bu se moattar hai mera sara wajud

tere chhune se jo ek phul khila hai mujh mein

mujh sa be-maya kahan aur kahan zom-e-kalam

ai mere rabb-e-suKHan teri ata hai mujh mein

tere jaane se yahan kuchh nahin badla maslan

tera baKHsha hua har zaKHm hara hai mujh mein

kaise mil jati hai aawaz-e-azan se har subh

raat bhar gunjne wali jo sada hai mujh mein

kitni sadiyon se use DhunD rahe ho ba-sud

aao ab meri taraf aao KHuda hai mujh mein

mujh mein jannat bhi meri aur jahannam bhi mera

jari-o-sari jaza aur saza hai mujh mein

raushni aise dhaDakte to na dekhi thi kabhi

ye jo rah rah ke chamakta hai ye kya hai mujh mein

(1202) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Bataun Ki Jo Hangama Bapa Hai Mujh Mein In English By Famous Poet Irfan Sattar. Kya Bataun Ki Jo Hangama Bapa Hai Mujh Mein is written by Irfan Sattar. Read famous Poem Kya Bataun Ki Jo Hangama Bapa Hai Mujh Mein for youth and Student by Irfan Sattar. Free Download Kya Bataun Ki Jo Hangama Bapa Hai Mujh Mein in PDF.