Yahan Takrar-e-saat Ke Siwa Kya Rah Gaya Hai

yahan takrar-e-saat ke siwa kya rah gaya hai

musalsal ek haalat ke siwa kya rah gaya hai

tumhein fursat ho duniya se to hum se aa ke milna

hamare pas fursat ke siwa kya rah gaya hai

bahut mumkin hai kuchh din mein use hum tark kar den

tumhaara qurb aadat ke siwa kya rah gaya hai

bahut nadim kiya tha hum ne ek shirin-suKHan ko

so ab KHud par nadamat ke siwa kya rah gaya hai

hamara ishq bhi ab mand hai jaise ki tum ho

to ye sauda riayat ke siwa kya rah gaya hai

kahan le jaen ai dil hum teri wusat-pasandi

ki ab duniya mein wusat ke siwa kya rah gaya hai

salamat hai koi KHwahish na koi yaad zinda

bata ai sham wahshat ke siwa kya rah gaya hai

kisi aahaT mein aahaT ke siwa kuchh bhi nahin ab

kisi surat mein surat ke siwa kya rah gaya hai

bahut lamba safar tai ho chuka hai zehn o dil ka

tumhaara gham alamat ke siwa kya rah gaya hai

aziyyat thi magar lazzat bhi kuchh is se siwa thi

aziyyat hai aziyyat ke siwa kya rah gaya hai

hamare darmiyan sari hi baaten ho chuki hain

so ab in ki wazahat ke siwa kya rah gaya hai

baja kahte ho tum honi to ho kar hi rahegi

to hone ko qayamat ke siwa kya rah gaya hai

shumar o be-shumari ke taraddud se guzar kar

maal-e-ishq-e-wahdat ke siwa kya rah gaya hai

(660) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yahan Takrar-e-saat Ke Siwa Kya Rah Gaya Hai In English By Famous Poet Irfan Sattar. Yahan Takrar-e-saat Ke Siwa Kya Rah Gaya Hai is written by Irfan Sattar. Read famous Poem Yahan Takrar-e-saat Ke Siwa Kya Rah Gaya Hai for youth and Student by Irfan Sattar. Free Download Yahan Takrar-e-saat Ke Siwa Kya Rah Gaya Hai in PDF.