Ye KHabar Hai, Mujh Mein Kuchh Mere Siwa Maujud Hai

ye KHabar hai, mujh mein kuchh mere siwa maujud hai

ab to bas malum karna hai ki kya maujud hai

ek main hun, jis ka hona ho ke bhi sabit nahin

ek wo hai jo na ho kar ja-ba-ja maujud hai

han KHuda hai, is mein koi shak ki gunjaish nahin

is se tum ye mat samajh lena KHuda maujud hai

hal kabhi hota nahin ye jism se chhuTe baghair

main abhi zinda hun so ye masala maujud hai

tab aankhen la saken us husn ki, mumkin nahin

main to hairan hun ki ab tak aaina maujud hai

raat kaTti hai maze mein chain se hoti hai subh

chandni maujud hai baad-e-saba maujud hai

raushni si aa rahi hai is taraf chhanti hui

aur wo hiddat bhi jo zer-e-qaba maujud hai

ek pal fursat kahan dete hain mujh ko mere gham

ek ko bahla diya to dusra maujud hai

dard ki shiddat mein bhi chalti hai mere dil ke sath

ek dhaDakti raushni jo har jagah maujud hai

mo'tabar to qais ka qissa bhi hai is zimn mein

is hawale se mera bhi waqia maujud hai

KHwab mein ek zaKHm dekha tha badan par jis jagah

subh dekha to wahan ek dagh sa maujud hai

ek hi shoale se jalte aa rahe hain ye charagh

'mir' se mujh tak wahi ek silsila maujud hai

yun to hai 'irfan' har ehsas hi mahdud sa

ek kasak si hai ki jo be-intiha maujud hai

(1055) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye KHabar Hai, Mujh Mein Kuchh Mere Siwa Maujud Hai In English By Famous Poet Irfan Sattar. Ye KHabar Hai, Mujh Mein Kuchh Mere Siwa Maujud Hai is written by Irfan Sattar. Read famous Poem Ye KHabar Hai, Mujh Mein Kuchh Mere Siwa Maujud Hai for youth and Student by Irfan Sattar. Free Download Ye KHabar Hai, Mujh Mein Kuchh Mere Siwa Maujud Hai in PDF.