Badan Mein Jaise Lahu Taziyana Ho Gaya Hai

badan mein jaise lahu taziyana ho gaya hai

use gale se lagae zamana ho gaya hai

chamak raha hai ufuq tak ghubar-e-tira-shbi

koi charagh safar par rawana ho gaya hai

hamein to KHair bikharna hi tha kabhi na kabhi

hawa-e-taza ka jhonka bahana ho gaya hai

gharaz ki puchhte kya ho maal-e-soKHtagan

tamam jalna jalana fasana ho gaya hai

faza-e-shauq mein us ki bisat hi kya thi

parind apne paron ka nishana ho gaya hai

kisi ne dekhe hain patjhaD mein phul khilte hue

dil apni KHush-nazari mein diwana ho gaya hai

(991) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Badan Mein Jaise Lahu Taziyana Ho Gaya Hai In English By Famous Poet Irfan Siddiqi. Badan Mein Jaise Lahu Taziyana Ho Gaya Hai is written by Irfan Siddiqi. Read famous Poem Badan Mein Jaise Lahu Taziyana Ho Gaya Hai for youth and Student by Irfan Siddiqi. Free Download Badan Mein Jaise Lahu Taziyana Ho Gaya Hai in PDF.