Dar-o-diwar Ki Zad Se Nikalna Chahta Hun Main

dar-o-diwar ki zad se nikalna chahta hun main

hawa-e-taza tere sath chalna chahta hun main

wo kahte hain ki aazadi asiri ke barabar hai

to yun samjho ki zanjiren badalna chahta hun main

numu karne ko hai mera lahu qatil ke sine se

wo chashma hun ki patthar se ubalna chahta hun main

buland o past duniya faisla karne nahin deti

ki girna chahta hun ya sambhalna chahta hun main

mohabbat mein hawas ka sa maza milna kahan mumkin

wo sirf ek raushni hai jis mein jalna chahta hun main

(711) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dar-o-diwar Ki Zad Se Nikalna Chahta Hun Main In English By Famous Poet Irfan Siddiqi. Dar-o-diwar Ki Zad Se Nikalna Chahta Hun Main is written by Irfan Siddiqi. Read famous Poem Dar-o-diwar Ki Zad Se Nikalna Chahta Hun Main for youth and Student by Irfan Siddiqi. Free Download Dar-o-diwar Ki Zad Se Nikalna Chahta Hun Main in PDF.