Is Takalluf Se Na Poshak-e-badan-gir Mein Aa

is takalluf se na poshak-e-badan-gir mein aa

KHwab ki tarah kabhi KHwab ki tabir mein aa

main bhi ai surKHi-e-be-nam tujhe pahchanun

tu hina hai ki lahu paikar-e-taswir mein aa

is ke halqe mein tag-o-taz ki wusat hai bahut

aahu-e-shahar, meri banhon ki zanjir mein aa

chaara-gar KHair se KHush-zauq hai ai meri ghazal

kaam ab tu hi mere dard ki tashhir mein aa

wo bhi aamada bahut din se hai sunne ke liye

ab to ai harf-e-talab mariz-e-taqrir mein aa

ek rang aaKHiri manzar ki dhanak mein kam hai

mauj-e-KHun uTh ke zara arsa-e-shamshir mein aa

(695) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Takalluf Se Na Poshak-e-badan-gir Mein Aa In English By Famous Poet Irfan Siddiqi. Is Takalluf Se Na Poshak-e-badan-gir Mein Aa is written by Irfan Siddiqi. Read famous Poem Is Takalluf Se Na Poshak-e-badan-gir Mein Aa for youth and Student by Irfan Siddiqi. Free Download Is Takalluf Se Na Poshak-e-badan-gir Mein Aa in PDF.