Sarab-e-dasht Tujhe Aazmane Wala Kaun

sarab-e-dasht tujhe aazmane wala kaun

bata ye apne lahu mein nahane wala kaun

sawad-e-sham ye shahzad-gan-e-subh kahan

siyah shab mein ye suraj ugane wala kaun

ye regzar mein kis harf-e-lazawal ki chhanw

shajar ye dasht-e-ziyan mein lagane wala kaun

ye kaun rasta roke hue khaDa tha abhi

aur ab ye rah ke patthar haTane wala kaun

ye kaun hai ki jo tanhai par bhi raazi hai

ye qatl-gah se wapas na jaane wala kaun

badan ke nuqrai TukDe lahu ki ashrafiyan

idhar se guzra hai aise KHazane wala kaun

ye kis ke nam pe tegh-e-jafa nikalti hui

ye kis ke KHeme, ye KHeme jalane wala kaun

ubharte Dubte manzar mein kis ki raushaniyan

kalam-e-haq sar-e-neza sunane wala kaun

mili hai jaan to us par nisar kyun na karun

tu ai badan mere raste mein aane wala kaun

(801) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sarab-e-dasht Tujhe Aazmane Wala Kaun In English By Famous Poet Irfan Siddiqi. Sarab-e-dasht Tujhe Aazmane Wala Kaun is written by Irfan Siddiqi. Read famous Poem Sarab-e-dasht Tujhe Aazmane Wala Kaun for youth and Student by Irfan Siddiqi. Free Download Sarab-e-dasht Tujhe Aazmane Wala Kaun in PDF.