SuKHan Mein Rang Tumhaare KHayal Hi Ke To Hain

suKHan mein rang tumhaare KHayal hi ke to hain

ye sab karishme hawa-e-visal hi ke to hain

kaha tha tum ne ki lata hai kaun ishq ki tab

so hum jawab tumhaare sawal hi ke to hain

zara si baat hai dil mein agar bayan ho jae

tamam masale izhaar-e-haal hi ke to hain

yahan bhi us ke siwa aur kya nasib hamein

KHutan mein rah ke bhi chashm-e-ghazal hi ke to hain

jasarat-e-suKHan-e-shairan se Darna kiya

gharib mashghala-e-qil-o-qal hi ke to hain

hawa ki zad pe hamara safar hai kitni der

charagh hum kisi sham-e-zawal hi ke to hain

(815) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

SuKHan Mein Rang Tumhaare KHayal Hi Ke To Hain In English By Famous Poet Irfan Siddiqi. SuKHan Mein Rang Tumhaare KHayal Hi Ke To Hain is written by Irfan Siddiqi. Read famous Poem SuKHan Mein Rang Tumhaare KHayal Hi Ke To Hain for youth and Student by Irfan Siddiqi. Free Download SuKHan Mein Rang Tumhaare KHayal Hi Ke To Hain in PDF.