Unhin Ki Shah Se Unhen Mat Karta Rahta Hun

unhin ki shah se unhen mat karta rahta hun

sitamgaron ki mudaraat karta rahta hun

yahan koi nahin sunta hadis-e-dil-zadagan

magar main aur tarah baat karta rahta hun

bhala ye umr koi karobar-e-shauq ki hai

bas ek talafi-e-mafat karta rahta hun

ye kaenat mere baal-o-par ke bas ki nahin

to kya karun safar-e-zat karta rahta hun

yahin pe war-e-harifan uThana paDta hai

yahin hisab-e-musawat karta rahta hun

ajab nahin kisi koshish mein kaamran ho jaun

mohabbaton ki shuruat karta rahta hun

hamesha kasa-e-KHali chhalakta rahta hai

faqir hun so karamat karta rahta hun

(902) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Unhin Ki Shah Se Unhen Mat Karta Rahta Hun In English By Famous Poet Irfan Siddiqi. Unhin Ki Shah Se Unhen Mat Karta Rahta Hun is written by Irfan Siddiqi. Read famous Poem Unhin Ki Shah Se Unhen Mat Karta Rahta Hun for youth and Student by Irfan Siddiqi. Free Download Unhin Ki Shah Se Unhen Mat Karta Rahta Hun in PDF.