Rang-birange Phulon Jaisi Meri Chanchal Aas

rang-birange phulon jaisi meri chanchal aas

meri aas ka rup manohar piritam ko hai ras

chupke chupke kya kahte hain tujh se dhan ke khet

bol ri nirmal nirmal nadiya kyun hai chand udas

sur-sagar jaise gahre hain mere kawi ke nain

dekh sakhi panghaT par aaya kaun bujhane pyas

nur ke taDke main ne dekhi pankhuDiyon par os

taron ke moti chunti hai sari raat kapas

sanjh-sawere nainon mein lahrae us ka rup

mere sapnon ka rakhwala dur rahe ya pas

(889) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rang-birange Phulon Jaisi Meri Chanchal Aas In English By Famous Poet Irfana Azeez. Rang-birange Phulon Jaisi Meri Chanchal Aas is written by Irfana Azeez. Read famous Poem Rang-birange Phulon Jaisi Meri Chanchal Aas for youth and Student by Irfana Azeez. Free Download Rang-birange Phulon Jaisi Meri Chanchal Aas in PDF.