Talash Karti Hai Tujhko Meri Nazar Har Su

talash karti hai tujh ko meri nazar har su

jamal-e-ruh mere dil ki raushni hai tu

ye kis ki yaad ye kis ka KHayal aaya hai

mahak mahak hai tajalli kiran kiran KHushbu

sulag sulag ke sar-e-shaKH bujh gain kaliyan

mere badan mein tha KHwabida jin ka zauq-e-numu

meri nigah mein jalwe ye kis sahar ke hain

ki dagh dagh nae aaftab ka hai lahu

(738) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Talash Karti Hai Tujhko Meri Nazar Har Su In English By Famous Poet Irfana Azeez. Talash Karti Hai Tujhko Meri Nazar Har Su is written by Irfana Azeez. Read famous Poem Talash Karti Hai Tujhko Meri Nazar Har Su for youth and Student by Irfana Azeez. Free Download Talash Karti Hai Tujhko Meri Nazar Har Su in PDF.