Ajib Shor Hai Sara Jahan Bolta Hai

ajib shor hai sara jahan bolta hai

mere yaqin ke aage guman bolta hai

use kaho ki wo hissa bane kahani ka

ye jo koi bhi pas-e-dastan bolta hai

samaaton pe fusun tari hone lagta hai

wo aisi shan se urdu zaban bolta hai

usi ko haq hai teri anjuman mein bolne ka

tere huzur jo shayan-e-shan bolta hai

use saliqa nahin hai baDon mein baiThne ka

jo meri guftugu ke darmiyan bolta hai

na jaanun main ye tamasha hai kitni der abhi

bhanwar ke aage mera baadban bolta hai

main be-tarah ke kai git gungunata hun

safar mein jaise koi sarban bolta hai

(645) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ajib Shor Hai Sara Jahan Bolta Hai In English By Famous Poet Irfanullah Irfan. Ajib Shor Hai Sara Jahan Bolta Hai is written by Irfanullah Irfan. Read famous Poem Ajib Shor Hai Sara Jahan Bolta Hai for youth and Student by Irfanullah Irfan. Free Download Ajib Shor Hai Sara Jahan Bolta Hai in PDF.