Apne Jauhar Se Siwa Bhi Koi Qimat Mange

apne jauhar se siwa bhi koi qimat mange

dil wo aaina nahin hai ki jo surat mange

main ne dariyaon mein bhi dasht ka manzar dekha

jab ki pyasa koi pani ki ijazat mange

us ki raftar ki taswir banai na gai

kis qayamat ko ye hangam qayamat mange

naz ki qamat-e-zeba ki bayan kya kije

pairahan bhi jahan uslub-e-nazakat mange

jitna hota hai kam aasar-e-KHushi ka lamha

dil mera dard se utni bhi na mohlat mange

har taraf shor hai aawazon ka taswiron ka

kaun ghabra ke na ab gosha-e-uzlat mange

KHwab utre hain mere zehn pe jaise ilham

kaun in KHwabon se tabir ki qimat mange

kaun maslub hua kis pe laga hai ilzam

kashmakash aisi hai insaf adalat mange

(639) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apne Jauhar Se Siwa Bhi Koi Qimat Mange In English By Famous Poet Ishaq Athar Siddiqui. Apne Jauhar Se Siwa Bhi Koi Qimat Mange is written by Ishaq Athar Siddiqui. Read famous Poem Apne Jauhar Se Siwa Bhi Koi Qimat Mange for youth and Student by Ishaq Athar Siddiqui. Free Download Apne Jauhar Se Siwa Bhi Koi Qimat Mange in PDF.