Tere Intizar Mein Kya Mila Tere Etibar Ne Kya Diya
tere intizar mein kya mila tere e'tibar ne kya diya
kabhi koi zaKHm tapan hua kabhi koi dagh khila diya
ye shab-e-safar bhi wabaal hai na firaq hai na visal hai
isi shab ne nind haram ki isi shab ne hum ko sula diya
mere shahr-e-gul meri arz-e-jaan kahin koi un ka bhi hai nishan
teri be-KHayal hawaon ne jinhen raste se haTa diya
jise dast-e-zulm chhupa sake na hawa-e-jaur bujha sake
sar-e-rah-e-manzil-e-zindagi wo charagh hum ne jala diya
yahi gham garan tha so rafta rafta tere surur-e-KHayal ne
safar-e-hayat ki mushkilat ko bhulna bhi sikha diya
(676) Peoples Rate This