Apna Hi Kirdar Rad Karta Hua

apna hi kirdar rad karta hua

main kahani mustanad karta hua

ek naya naqsha bana laya hun main

shahr ko sahra ki had karta hua

sharh dil ki likh raha hun main nai

har purani soch rad karta hua

ishq likkhega nae erab ab

mere dil ko shadd-o-mad karta hua

is tarah se mustanad hota gaya

ek qalandar KHud ko rad karta hua

aur phir diwar mein dar ho gaya

ishq yun meri madad karta hua

(773) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apna Hi Kirdar Rad Karta Hua In English By Famous Poet Ishaq Veerdag. Apna Hi Kirdar Rad Karta Hua is written by Ishaq Veerdag. Read famous Poem Apna Hi Kirdar Rad Karta Hua for youth and Student by Ishaq Veerdag. Free Download Apna Hi Kirdar Rad Karta Hua in PDF.