Raegani Ka Aariza Hai Mujhe

raegani ka aariza hai mujhe

zindagi ek hadisa hai mujhe

is KHarabe se kab gila hai mujhe

apna hona hi masala hai mujhe

zimni kirdar hun kahani ka

apni taqdir ka pata hai mujhe

mujh ko andar ki kuchh KHabar hi nahin

aur bahar ka sab pata hai mujhe

dasht mein shahr yaad aata hai

ishq ka pahla tajraba hai mujhe

waqt ka raaz jaanne se miyan

jaane ye kaun rokta hai mujhe

ek lamhe ko ruk ke sun le use

a zamin tujh se jo gila hai mujhe

meri hi aankh ke wasile se

KHwab andar se dekhta hai mujhe

kitne chehre uThae phirta hun

aaina phir bhi jaanta hai mujhe

ek KHushi sud par mili thi kahin

us ka qarza utarna hai mujhe

yun hi KHamosh main nahin baiTha

shor andar ka Tokta hai mujhe

(1102) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raegani Ka Aariza Hai Mujhe In English By Famous Poet Ishaq Veerdag. Raegani Ka Aariza Hai Mujhe is written by Ishaq Veerdag. Read famous Poem Raegani Ka Aariza Hai Mujhe for youth and Student by Ishaq Veerdag. Free Download Raegani Ka Aariza Hai Mujhe in PDF.