Aaina Kabhi Qabil-e-didar Na Howe

aaina kabhi qabil-e-didar na howe

gar KHak ke sath us ko sarokar na howe

kya KHak kaho us mein tajalli ho numayan

KHurshid ka jo zarra parastar na howe

gar mehr na ho dagh ke ulfat ki gawahi

manzur mere dard ka tumar na howe

dil KHwab ki ghaflat se mabaada kahin chaunke

ye fitna-e-KHwabida hi bedar na howe

ishq ahl-e-wafa bich use qadr hai kya KHak

wo dil ki jo gard-e-rah-e-dildar na howe

(648) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaina Kabhi Qabil-e-didar Na Howe In English By Famous Poet Ishq Aurangabadi. Aaina Kabhi Qabil-e-didar Na Howe is written by Ishq Aurangabadi. Read famous Poem Aaina Kabhi Qabil-e-didar Na Howe for youth and Student by Ishq Aurangabadi. Free Download Aaina Kabhi Qabil-e-didar Na Howe in PDF.