Bagh-e-jahan Mein Sarw Sa Gardan-kashida Hun

bagh-e-jahan mein sarw sa gardan-kashida hun

daman talluqat se aalam ke chida hun

is qafila ko nala sunane ka zauq nin

misl-e-jaras ke main na dahan-e-darida hun

nin bhulne ka misl-e-jaras ki fughan ke tain

nalan hun dil agarche lab-e-armida hun

bismil hun dil-figar hun aur jaan-ba-lab hun aah

surat ayan hai nale ki halq-e-burida hun

rakhta hun is liye dil-e-sozan o chashm-e-tar

jiyun shama dard-e-dagh se ishq-afrida hun

(631) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bagh-e-jahan Mein Sarw Sa Gardan-kashida Hun In English By Famous Poet Ishq Aurangabadi. Bagh-e-jahan Mein Sarw Sa Gardan-kashida Hun is written by Ishq Aurangabadi. Read famous Poem Bagh-e-jahan Mein Sarw Sa Gardan-kashida Hun for youth and Student by Ishq Aurangabadi. Free Download Bagh-e-jahan Mein Sarw Sa Gardan-kashida Hun in PDF.